Breaking

Post Top Ad

Saturday, 1 April 2017

Shayari On Sanam

Shayari On Sanam

Kaate Nahin Kat Te Lamhe Intezaar Ke
Nazaren Bichaein Baithe Hain Raste Pe Yaar Ke
Dil Ne Kaha Dekhe Jo Jalwe Husne Yaar Ke
Laya Hain Unhe Kaun Falak Se Utaar Ke
====================================================================

Samane hai jo use log bura kahate hain
jisako dekha hi nahi usako khuda kahate hain
zindagi ko bhi sila kahate hain kahanevale
jinevale to gunahon ke saza kahate hain
fasale umr ke kuch aur bada deti hai
jane q log use phir bhi dawa kahate hain
chand masum se patton ka lahu hai “fakir”
jisako mahbub ke hathon ke hina kahate hain

====================================================================

Ye haqiqat hai ki hota hai asar baton mein
tum bhi khul jaoge do char mulaqaton mein
tum se sadiyonki vafaon ka koi nata na tha
tum se milane ke lakiren thi mere hathon mein
tere vadon ne hamen ghar se nikalne na diya
log mausam ka maza le gaye barasaton mein
ab na suraj na sitare na shaman na chand
apne zakhmon ka ujala hai ghani raton mein

Chalo Tum Asia Karo
Chand Sey Thoree See Mattee Lo
Phir Us Sey Do Butt Banao
Aik Tum Jaisa,
Aik Muj Jaisa.
Phir Kuch Aisakaro
In Buton Ko Tor Do.
Phir Sey Iskay Do Butt Banao
Tum Main Kuch Kuch Main Reh Jaoon
Muj Main Kuch Kuck Tum Reh Jao

=========================================================================

Is Pyar Ka Andaz Kuch Aisa Hai
Kya Bataye K Yeh Andaz Kaisa Hai
Kaun Kehta Hai K Tum Chand Jaise Ho
Sach To Yeh Hai K Chand Tumhare Jaisa Hai

====================================================================

Chandani chat pe chal rahi hogi
ab akeli tahal rahi hogi
phir mera zikr aa gaya hoga
wo barf-si pighal rahi hogi
kal ka sapana bahut suhana tha
ye udasi na kal rahi hogi

====================================================================

sochata hun ki band kamare mai
ek shama-si jal rahi hogi
tere gahanon si khankhanati thi
bajare ke fasal rahi hogi
jin havaon ne tujh ko dularaya
un mai meri gazal rahi hogi

====================================================================

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.

Post Top Ad

Pages